Hi Armaan
Salam valekum rahmat-ullah barakatu..
Maine tumara Kundali deka, jaisa Sri Sandhu Ji ne bataya hai kaal-sarpa yoga ke vajaise tumko thoda takalif ho raha hai baaki tho tumara kundali bahut accha hai Tum Italy mai bahut mehanat karke naam bhi kamaoge..lekin uskeliye thoda intazaar karna padega Period from 2009 onwards you will start seeing benefits...
Tumara Paper works and work permit Nov 2008 tak hone ki chances hai.
Please do continue regular prayers (Namaz)
Kuda hafiz
ChanDubai
| armaan wrote: |
waleekum salam bhai
dob: oct10, 1982
tob/pob: pak karachi local time 6am
bhai abhi muje papers chaiye italy ke liye mai wahi rehta hu aur kuch theek nahi chal raha..mai jada parah likha nahi tau muje apni life ke bare mai jana hai muje yeh stay papers chaiye taki mai theek se kaam kar saku magar abhi mere pass kuch nahi hai...bauth nirash ho chuka hu..mai bauth kaam karta hu magar sab pheeka parta hai..mere halath pese ghar aur pyar ko le kar kab badalenge yeh poochna hai... app ko aur specific kya kahu samaj mai nahi ata..meri ek dost ke vajese mai aya socha try kar lu..aj kal tau namaz bhi maine regularly parni chalu kar di mai koshish kar raha hu magar jab bhi kuch acha hota hai uske saath bura jada hota hai...meri life mai kuch acha hona hai ya life bas ese hi chalti rahegi....ise jada kya kahu
allah kare ki app mai se koi meri help kar paye
allah hafiz |